Naam ki aapke ek hansi.. padh ke muskuraeeyega, na kaheeyega nahi :)

Koi jab humse humaare gumzada hone par khafa hota hai

to ye soche ki hum par tab kya guzarti hai jab wo rota hai?

Aisa nahi ki hume nahi samjh

zindagi ki khushiyon ki,

na hi humse juda* hain baatein

jo unhone abhi kaheen theen

muft mein kosne ki kismat ko apni,

aadat lagti hai gar kisi ko humaari

dukh ye hai ki nahi dekhte wo koshish

un mushkilon mein humaare hansne ki..

Par khushi hai ki humein, ki zindagi me

khushi pana wo hume sikhana chaahte hain

Hum sir jhuka ke baa-adab chalte hain saath

kyunki hum unke saath muskurana chahte hain..!

~ Gustaakhi maaf, kripya padh kar muskuraayen,

ye na sochein hum dheeth hain, aur kuchh aur dukhi hojayen 😐 :/ :\ 😦

*alag, alhaida, seperated, disconnected, not understood

 

Ye Un sabhi doston ke naam jo mujhe humesha muskuraate huye dekhna chahte hain. Aur ye bahot sincerely likhi hai maine, yunhi koi tukbandi nahi hai, aur na hi kisi ko ye kehne ki koshish hai ki wo mujhe samjhaate kyun hain, ya raah dikhate kyun hain. Dost hain, to raahen hain, mushkilein hain, to muskuraahtein hain.. maloom hai humey, isiliye to sab gumon ke rehtey hum aapse juda (different) nahi, judey (connected) huye hain !